تھی جس کی جستجو وہ حقیقت نہیں ملی
Munir Niazi (1928–2006)تھی جس کی جستجو وہ حقیقت نہیں ملی
ان بستیوں میں ہم کو رفاقت نہیں ملی
اب تک ہیں اس گماں میں کہ ہم بھی ہیں دہر میں
اس وہم سے نجات کی صورت نہیں ملی
رہنا تھا اس کے ساتھ بہت دیر تک مگر
ان روز و شب میں مجھ کو یہ فرصت نہیں ملی
کہنا تھا جس کو اس سے کسی وقت میں مجھے
اس بات کے کلام کی مہلت نہیں ملی
کچھ دن کے بعد اس سے جدا ہو گئے منیرؔ
اس بے وفا سے اپنی طبیعت نہیں ملی
thi jis ki justuju wo haqiqat nahin mili
in bastiyon mein ham ko rifaqat nahin mili
ab tak hain is guman mein ke ham bhi hain dahr mein
is wahm se najat ki surat nahin mili
rahna tha us ke sath bahut der tak magar
un roz-o-shab mein mujh ko ye fursat nahin mili
kahna tha jis ko us se kisi waqt mein mujhe
is bat ke kalam ki mohlat nahin mili
kuchh din ke baad us se juda ho gae munir
us be wafa se apni tabiat nahin mili