خیال جس کا تھا مجھے خیال میں ملا مجھے
Munir Niazi (1928–2006)خیال جس کا تھا مجھے خیال میں ملا مجھے
سوال کا جواب بھی سوال میں ملا مجھے
گیا تو اس طرح گیا کہ مدتوں نہیں ملا
ملا جو پھر تو یوں کہ وہ ملال میں ملا مجھے
تمام علم زیست کا گزشتگاں سے ہی ہوا
عمل گزشتہ دور کا مثال میں ملا مجھے
نہال سبز رنگ میں جمال جس کا ہے منیرؔ
کسی قدیم خواب کے محال میں ملا مجھے
khayal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe
sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe
gaya to is tarah gaya ke muddaton nahin mila
mila jo phir to yun ke wo malal mein mila mujhe
tamam ilm zist ka guzashtgan se hi hua
amal guzishta dur ka misal mein mila mujhe
nihal-e-sabz rang mein jamal jis ka hai munir
kisi qadim khwab ke muhal mein mila mujhe