ہاں اجازت ہے اگر کوئی کہانی اور ہے
Munawwar Ranaہاں اجازت ہے اگر کوئی کہانی اور ہے
ان کٹوروں میں ابھی تھوڑا سا پانی اور ہے
مذہبی مزدور سب بیٹھے ہیں ان کو کام دو
ایک عمارت شہر میں کافی پرانی اور ہے
خامشی کب چیخ بن جائے کسے معلوم ہے
ظلم کر لو جب تلک یہ بے زبانی اور ہے
خشک پتے آنکھ میں چبھتے ہیں کانٹوں کی طرح
دشت میں پھرنا الگ ہے باغبانی اور ہے
پھر وہی اکتاہٹیں ہوں گی بدن چوپال میں
عمر کے قصے میں تھوڑی سی جوانی اور ہے
بس اسی احساس کی شدت نے بوڑھا کر دیا
ٹوٹے پھوٹے گھر میں اک لڑکی سیانی اور ہے
han ijazat hai agar koi kahani aur hai
in katoron mein abhi thora sa pani aur hai
mazhabi mazdur sab baithe hain un ko kam do
ek imarat shahr mein kafi purani aur hai
khamushi kab chikh ban jae kise maalum hai
zulm kar lo jab talak ye be zabani aur hai
khushk patte ankh mein chubhte hain kanton ki tarah
dasht mein phirna alag hai baghbani aur hai
phir wahi uktahaten hongi badan chaupal mein
umr ke qisse mein thori si jawani aur hai
bas isi ehsas ki shiddat ne burha kar diya
tute phute ghar mein ik larki siyani aur hai