کبھی خوشی سے خوشی کی طرف نہیں دیکھا
Munawwar Ranaکبھی خوشی سے خوشی کی طرف نہیں دیکھا
تمہارے بعد کسی کی طرف نہیں دیکھا
یہ سوچ کر کہ ترا انتظار لازم ہے
تمام عمر گھڑی کی طرف نہیں دیکھا
یہاں تو جو بھی ہے آب رواں کا عاشق ہے
کسی نے خشک ندی کی طرف نہیں دیکھا
وہ جس کے واسطے پردیس جا رہا ہوں میں
بچھڑتے وقت اسی کی طرف نہیں دیکھا
نہ روک لے ہمیں روتا ہوا کوئی چہرہ
چلے تو مڑ کے گلی کی طرف نہیں دیکھا
بچھڑتے وقت بہت مطمئن تھے ہم دونوں
کسی نے مڑ کے کسی کی طرف نہیں دیکھا
روش بزرگوں کی شامل ہے میری گھٹی میں
ضرورتاً بھی سکھی کی طرف نہیں دیکھا
kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha
tumhare baad kisi ki taraf nahin dekha
ye soch kar ke tira intizar lazim hai
tamam umr ghari ki taraf nahin dekha
yahan to jo bhi hai ab-e-rawan ka ashiq hai
kisi ne khushk nadi ki taraf nahin dekha
wo jis ke waste pardes ja raha hun main
bichharte waqt usi ki taraf nahin dekha
na rok le hamen rota hua koi chehra
chale to mur ke gali ki taraf nahin dekha
bichharte waqt bahut mutmain the ham donon
kisi ne mur ke kisi ki taraf nahin dekha
rawish buzurgon ki shamil hai meri ghati mein
zarurtan bhi sakhi ki taraf nahin dekha