گھر کا رستہ بھی ملا تھا شاید
Ada Jafri (1924–2015)گھر کا رستہ بھی ملا تھا شاید
راہ میں سنگ وفا تھا شاید
اس قدر تیز ہوا کے جھونکے
شاخ پر پھول کھلا تھا شاید
جس کی باتوں کے فسانے لکھے
اس نے تو کچھ نہ کہا تھا شاید
لوگ بے مہر نہ ہوتے ہوں گے
وہم سا دل کو ہوا تھا شاید
تجھ کو بھولے تو دعا تک بھولے
اور وہی وقت دعا تھا شاید
خون دل میں تو ڈبویا تھا قلم
اور پھر کچھ نہ لکھا تھا شاید
دل کا جو رنگ ہے یہ رنگ اداؔ
پہلے آنکھوں میں رچا تھا شاید
ghar ka rasta bhi mila tha shayad
rah mein sang wafa tha shayad
is qadar tez hawa ke jhonke
shakh par phul khula tha shayad
jis ki baton ke fasane likhe
us ne to kuchh na kaha tha shayad
log be mehr na hote honge
wahm sa dil ko hua tha shayad
tujh ko bhule to dua tak bhule
aur wahi waqt-e-dua tha shayad
khun-e-dil mein to duboya tha qalam
aur phir kuchh na likha tha shayad
dil ka jo rang hai ye rang ada
pahle ankhon mein racha tha shayad