ġham-e-duniyā se gar pā.ī bhī fursat sar uṭhāne kī
غمِ دنیا سے گر پائی بھی فرصت سر اٹھانے کیغمِ دنیا سے گر پائی بھی فرصت سر اٹھانے کی
فلک کا دیکھنا تقریب تیرے یاد آنے کی
کھلے گا کس طرح مضموں مرے مکتوب کا یا رب
قسم کھائی ہے اس کافر نے کاغذ کے جلانے کی
لپٹنا پرنیاں میں شعلۂ آتش کا آساں ہے
ولے مشکل ہے حکمت دل میں سوزِ غم چھپانے کی
انھیں منظور اپنے زخمیوں کا دیکھ آنا تھا
اٹھے تھے سیرِ گل کو دیکھنا شوخی بہانے کی
ہماری سادگی تھی التفاتِ ناز پر مرنا
ترا آنا نہ تھا ظالم مگر تمہید جانے کی
لکدکوبِ حوادث کا تحمّل کر نہیں سکتی
مری طاقت کہ ضامن تھی بتوں کے ناز اٹھانے کی
کہوں کیا خوبیٔ اوضاعِ ابنائے زماں غالبؔ
بدی کی اس نے جس سے ہم نے کی تھی بارہا نیکی
ġham-e-duniyā se gar pā.ī bhī fursat sar uṭhāne kī
falak kā dekhnā taqrīb tere yād āne kī
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā rab
qasam khā.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
lipaṭnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā āsāñ hai
vale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kī
unheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh ānā thā
uṭhe the sair-e-gul ko dekhnā shoḳhī bahāne kī
hamārī sādgī thī iltifāt-e-nāz par marnā
tirā ānā na thā zālim magar tamhīd jāne kī
lakdakob-e-havādis kā tahammul kar nahīñ saktī
mirī tāqat ke zāmin thī butoñ ke nāz uṭhāne kī
kahūñ kyā ḳhūbī-e-auzā-e-ubnā-e-zamāñ ġhālib
badī kī us ne jis se ham ne kī thī bārhā nekī