فرقت میں وصلت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
Jaun Elia (1931–2002)فرقت میں وصلت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
آشوب وحدت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
روح کل سے سب روحوں پر وصل کی حسرت طاری ہے
اک سر حکمت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
بے احوالی کی حالت ہے شاید یا شاید کہ نہیں
پر احوالیت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
مختاری کے لب سلوانا جبر عجب تر ٹھہرا ہے
ہیجان غیرت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
بابا الف ارشاد کناں ہیں پیش عدم کے بارے میں
حیرت بے حیرت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
معنی ہیں لفظوں سے برہم قہر خموشی عالم ہے
ایک عجب حجت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
موجودی سے انکاری ہے اپنی ضد میں ناز وجود
حالت سی حالت برپا ہے اللہ ہو کے باڑے میں
furqat mein waslat barpa hai allah ho ke bare mein
ashob-e-wahdat barpa hai allah ho ke bare mein
ruh kal se sab ruhon par wasl ki hasrat tari hai
ik sar hikmat barpa hai allah ho ke bare mein
be ahwali ki halat hai shayad ya shayad ke nahin
par ahwalet barpa hai allah ho ke bare mein
mukhtari ke lab silwana jabr ajab tar thahra hai
haijan ghairat barpa hai allah ho ke bare mein
baba alif irshad kunan hain pesh-e-adam ke bare mein
hairat be hairat barpa hai allah ho ke bare mein
maani hain lafzon se barham qahr khamoshi alam hai
ek ajab hujjat barpa hai allah ho ke bare mein
maujudi se inkari hai apni zid mein naz wajud
halat si halat barpa hai allah ho ke bare mein