طفلان کوچہ گرد کے پتھر بھی کچھ نہیں
Jaun Elia (1931–2002)طفلان کوچہ گرد کے پتھر بھی کچھ نہیں
سودا بھی ایک وہم ہے اور سر بھی کچھ نہیں
میں اور خود کو تجھ سے چھپاؤں گا یعنی میں
لے دیکھ لے میاں مرے اندر بھی کچھ نہیں
بس اک غبار وہم ہے اک کوچہ گرد کا
دیوار بود کچھ نہیں اور در بھی کچھ نہیں
یہ شہر دار و محتسب و مولوی ہی کیا
پیر مغان و رند و قلندر بھی کچھ نہیں
شیخ حرام لقمہ کی پروا ہے کیوں تمہیں
مسجد بھی اس کی کچھ نہیں منبر بھی کچھ نہیں
مقدور اپنا کچھ بھی نہیں اس دیار میں
شاید وہ جبر ہے کہ مقدر بھی کچھ نہیں
جانی میں تیرے ناف پیالے پہ ہوں فدا
یہ اور بات ہے ترا پیکر بھی کچھ نہیں
یہ شب کا رقص و رنگ تو کیا سن مری کہن
صبح شتاب کوش کو دفتر بھی کچھ نہیں
بس اک غبار طور گماں کا ہے تہ بہ تہ
یعنی نظر بھی کچھ نہیں منظر بھی کچھ نہیں
ہے اب تو ایک جال سکون ہمیشگی
پرواز کا تو ذکر ہی کیا پر بھی کچھ نہیں
کتنا ڈراؤنا ہے یہ شہر نبود و بود
ایسا ڈراؤنا کہ یہاں ڈر بھی کچھ نہیں
پہلو میں ہے جو میرے کہیں اور ہے وہ شخص
یعنی وفائے عہد کا بستر بھی کچھ نہیں
نسبت میں ان کی جو ہے اذیت وہ ہے مگر
شہ رگ بھی کوئی شے نہیں اور سر بھی کچھ نہیں
یاراں تمہیں جو مجھ سے گلہ ہے تو کس لئے
مجھ کو تو اعتراض خدا پر بھی کچھ نہیں
گزرے گی جونؔ شہر میں رشتوں کے کس طرح
دل میں بھی کچھ نہیں ہے زباں پر بھی کچھ نہیں
tiflan kucha gard ke patthar bhi kuchh nahin
sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuchh nahin
main aur khud ko tujh se chhupaunga yaani main
le dekh le miyan mire andar bhi kuchh nahin
bas ik ghubar wahm hai ik kucha gard ka
diwar bud kuchh nahin aur dar bhi kuchh nahin
ye shahr dar-o-mohtasib-o-maulawi hi kya
pir-e-maghin-o-rind-o-qalandar bhi kuchh nahin
shaikh-e-haram luqma ki parwa hai kyun tumhen
masjid bhi us ki kuchh nahin mimbar bhi kuchh nahin
maqdur apna kuchh bhi nahin is dayar mein
shayad wo jabr hai ke muqaddar bhi kuchh nahin
jani mein tere naf pyale pe hun fida
ye aur bat hai tira paikar bhi kuchh nahin
ye shab ka raqs-o-rang to kya sun miri kuhan
subh-e-shitab kosh ko daftar bhi kuchh nahin
bas ik ghubar-e-tur guman ka hai tah ba tah
yaani nazar bhi kuchh nahin manzar bhi kuchh nahin
hai ab to ek jal sukun-e-hameshagi
parwaz ka to zikr hi kya par bhi kuchh nahin
kitna daraona hai ye shahr-e-nabod-o-bud
aisa daraona ke yahan dar bhi kuchh nahin
pahlu mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa-e-ahd ka bistar bhi kuchh nahin
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shai nahin aur sar bhi kuchh nahin
yaran tumhen jo mujh se gila hai to kis liye
mujh ko to etiraz khuda par bhi kuchh nahin
guzregi jon shahr mein rishton ke kis tarah
dil mein bhi kuchh nahin hai zaban par bhi kuchh nahin