ایک گماں کا حال ہے اور فقط گماں میں ہے
Jaun Elia (1931–2002)ایک گماں کا حال ہے اور فقط گماں میں ہے
کس نے عذاب جاں سہا کون عذاب جاں میں ہے
لمحہ بہ لمحہ دم بہ دم آن بہ آن رم بہ رم
میں بھی گزشتگاں میں ہوں تو بھی گزشتگاں میں ہے
آدم و ذات کبریا کرب میں ہیں جدا جدا
کیا کہوں ان کا ماجرا جو بھی ہے امتحاں میں ہے
شاخ سے اڑ گیا پرند ہے دل شام درد مند
صحن میں ہے ملال سا حزن سا آسماں میں ہے
خود میں بھی بے اماں ہوں میں تجھ میں بھی بے اماں ہوں میں
کون سہے گا اس کا غم وہ جو مری اماں میں ہے
کیسا حساب کیا حساب حالت حال ہے عذاب
زخم نفس نفس میں ہے زہر زماں زماں میں ہے
اس کا فراق بھی زیاں اس کا وصال بھی زیاں
ایک عجیب کشمکش حلقۂ بے دلاں میں ہے
بود و نبود کا حساب میں نہیں جانتا مگر
سارے وجود کی نہیں میرے عدم کی ہاں میں ہے
ek guman ka hal hai aur faqat guman mein hai
kis ne azab-e-jan saha kaun azab-e-jan mein hai
lamha ba lamha dam ba dam an ba an ram ba ram
main bhi guzashtgan mein hun tu bhi guzashtgan mein hai
adam-o-zat-e-kibriya karb mein hain juda juda
kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mein hai
shakh se ur gaya parind hai dil-e-sham dard mand
sehn mein hai malal sa huzn sa asman mein hai
khud mein bhi be aman hun main tujh mein bhi be aman hun main
kaun sahega us ka gham wo jo miri aman mein hai
kaisa hisab kya hisab-e-halat-e-hal hai azab
zakhm nafas nafas mein hai zahr zaman zaman mein hai
us ka firaq bhi ziyan us ka wisal bhi ziyan
ek ajib kashmakash halqa-e-be dalan mein hai
bud-o-nabod ka hisab mein nahin janta magar
sare wajud ki nahin mere adam ki han main hai