نہیں نباہی خوشی سے غمی کو چھوڑ دیا
Jaun Elia (1931–2002)نہیں نباہی خوشی سے غمی کو چھوڑ دیا
تمہارے بعد بھی میں نے کئی کو چھوڑ دیا
ہوں جو بھی جان کی جاں وہ گمان ہوتے ہیں
سبھی تھے جان کی جاں اور سبھی کو چھوڑ دیا
شعور ایک شعور فریب ہے سو تو ہے
غرض کہ آگہی نا آگہی کو چھوڑ دیا
خیال و خواب کی اندیشگی کے سکھ جھیلے
خیال و خواب کی اندیشگی کو چھوڑ دیا
nahin nibahi khushi se ghami ko chhor diya
tumhare baad bhi main ne kai ko chhor diya
hun jo bhi jan ki jan wo guman hote hain
sabhi the jan ki jan aur sabhi ko chhor diya
shuur ek shuur-e-fareb hai so to hai
gharaz ke agahi na agahi ko chhor diya
khayal-o-khwab ki andeshagi ke sukh jhele
khayal-o-khwab ki andeshagi ko chhor diya