dhūp uṭhātā hūñ ke ab sar pe koī bār nahīñ
دھوپ اٹھاتا ہوں کہ اب سر پہ کوئی بار نہیںدھوپ اٹھاتا ہوں کہ اب سر پہ کوئی بار نہیں
بیچ دیوار ہے اور سایۂ دیوار نہیں
شہر کی گشت میں ہیں صبح سے سارے منصور
اب تو منصور وہی ہے جو سر دار نہیں
مت سنو مجھ سے جو آزار اٹھانے ہوں گے
اب کے آزار یہ پھیلا ہے کہ آزار نہیں
سوچتا ہوں کہ بھلا عمر کا حاصل کیا تھا
عمر بھر سانس لیے اور کوئی انبار نہیں
جن دکانوں نے لگائے تھے نگہ میں بازار
ان دکانوں کا یہ رونا ہے کہ بازار نہیں
اب وہ حالت ہے کہ تھک کر میں خدا ہو جاؤں
کوئی دل دار نہیں کوئی دل آزار نہیں
مجھ سے تم کام نہ لو کام میں لاؤ مجھ کو
کوئی تو شہر میں ایسا ہے کہ بیکار نہیں
یاد آشوب کا عالم تو وہ عالم ہے کہ اب
یاد مستوں کو تری یاد بھی درکار نہیں
وقت کو سود پہ دے اور نہ رکھ کوئی حساب
اب بھلا کیسا زیاں کوئی خریدار نہیں
dhūp uṭhātā hūñ ke ab sar pe koī bār nahīñ
bīch dīvār hai aur sāya-e-dīvār nahīñ
shahr kī gasht meñ haiñ sub.h se sāre mansūr
ab to mansūr vahī hai jo sar-e-dār nahīñ
mat suno mujh se jo āzār uṭhāne hoñge
ab ke āzār ye phailā hai ke āzār nahīñ
sochtā hūñ ke bhalā umr kā hāsil kyā thā
umr bhar sāns liye aur koī ambār nahīñ
jin dukānoñ ne lagā.e the nigah meñ bāzār
in dukānoñ kā ye ronā hai ke bāzār nahīñ
ab vo hālat hai ke thak kar maiñ ḳhudā ho jā.ūñ
koī dil dār nahīñ koī dil āzār nahīñ
mujh se tum kām na lo kām meñ lā.o mujh ko
koī to shahr meñ aisā hai ke bekār nahīñ
yād āshob kā ālam to vo ālam hai ke ab
yād mastoñ ko tirī yād bhī darkār nahīñ
vaqt ko sūd pe de aur na rakh koī hisāb
ab bhalā kaisā ziyāñ koī ḳharīdār nahīñ