kyā ye āfat nahīñ azāb nahīñ
کیا یہ آفت نہیں عذاب نہیںکیا یہ آفت نہیں عذاب نہیں
دل کی حالت بہت خراب نہیں
بود پل پل کی بے حسابی ہے
کہ محاسب نہیں حساب نہیں
خوب گاؤ بجاؤ اور پیو
ان دنوں شہر میں جناب نہیں
سب بھٹکتے ہیں اپنی گلیوں میں
تا بہ خود کوئی باریاب نہیں
تو ہی میرا سوال ازل سے ہے
اور ساجن ترا جواب نہیں
حفظ ہے شمس بازغہ مجھ کو
پر میسر وہ ماہتاب نہیں
تجھ کو دل درد کا نہیں احساس
سو مری پنڈلیوں کو داب نہیں
نہیں جڑتا خیال کو بھی خیال
خواب میں بھی تو کوئی خواب نہیں
سطر مو اس کی زیر ناف کی ہائے
جس کی چاقو زنوں کو تاب نہیں
kyā ye āfat nahīñ azāb nahīñ
dil kī hālat bahut ḳharāb nahīñ
būd pal pal kī be hisābī hai
ke muhāsib nahīñ hisāb nahīñ
ḳhūb gā.o bajā.o aur piyo
in dinoñ shahr meñ janāb nahīñ
sab bhaṭakte haiñ apnī galiyoñ meñ
tā ba ḳhud koī bāryāb nahīñ
tū hī merā savāl-e-azal se hai
aur sājan tirā javāb nahīñ
hifz hai shams bāzġha mujh ko
par muyassar vo māhtāb nahīñ
tujh ko dil dard kā nahīñ ehsās
so mirī pinḍliyoñ ko dāb nahīñ
nahīñ juṛtā ḳhayāl ko bhī ḳhayāl
ḳhvāb meñ bhī to koī ḳhvāb nahīñ
satr mū us kī zer nāf kī hā.e
jis kī chāqū zanoñ ko tāb nahīñ