koī dam bhī maiñ kab andar rahā hūñ
کوئی دم بھی میں کب اندر رہا ہوںکوئی دم بھی میں کب اندر رہا ہوں
لیے ہیں سانس اور باہر رہا ہوں
دھوئیں میں سانس ہیں سانسوں میں پل ہیں
میں روشندان تک بس مر رہا ہوں
فنا ہر دم مجھے گنتی رہی ہے
میں اک دم کا تھا اور دن بھر رہا ہوں
ذرا اک سانس روکا تو لگا یوں
کہ اتنی دیر اپنے گھر رہا ہوں
بجز اپنے میسر ہے مجھے کیا
سو خود سے اپنی جیبیں بھر رہا ہوں
ہمیشہ زخم پہنچے ہیں مجھی کو
ہمیشہ میں پس لشکر رہا ہوں
لٹا دے نیند کے بستر پہ اے رات
میں دن بھر اپنی پلکوں پر رہا ہوں
koī dam bhī maiñ kab andar rahā hūñ
liye haiñ sāns aur bāhar rahā hūñ
dhueñ meñ sāns haiñ sānsoñ meñ pal haiñ
maiñ raushandān tak bas mar rahā hūñ
fanā har dam mujhe gintī rahī hai
maiñ ik dam kā thā aur din bhar rahā hūñ
zarā ik sāns rokā to lagā yūñ
ke itnī der apne ghar rahā hūñ
bajuz apne muyassar hai mujhe kyā
so ḳhud se apnī jebeñ bhar rahā hūñ
hamesha zaḳhm pahuñche haiñ mujhī ko
hamesha meñ pas lashkar rahā hūñ
luṭā de nīnd ke bistar pe ai rāt
maiñ din bhar apnī palkoñ par rahā hūñ