Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byJaun Elia(1931–2002)

shauq kā bār utār āyā hūñ

شوق کا بار اتار آیا ہوں

shauq kā bār utār āyā hūñ

āj maiñ us ko hār āyā hūñ

uf mirā āj maikade ānā

yūñ to maiñ kitnī bār āyā hūñ

dosto dost ko sambhālā do

dūr se pā figār āyā hūñ

saf-e-āḳhir se laṛ rahā thā maiñ

aur yahāñ lāsh vār āyā hūñ

vahī dasht-e-azāb-e-māyūsī

vahīñ anjām-e-kār āyā hūñ