Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byJaun Elia(1931–2002)

guzrāñ haiñ guzarte rahte haiñ

گزراں ہیں گزرتے رہتے ہیں

guzrāñ haiñ guzarte rahte haiñ

ham miyāñ jān marte rahte haiñ

hā.e jānāñ vo nāf pyāla tirā

dil meñ bas ghūñṭ utarte rahte haiñ

dil kā jalsa bikhar gayā to kiyā

sāre jalse bikharte rahte haiñ

ya.anī kyā kuchh bhulā diyā ham ne

ab to ham ḳhud se ḍarte rahte haiñ

ham se kyā kyā ḳhudā mukartā hai

ham ḳhudā se mukarte rahte haiñ

hai ajab us kā hāl hijr ke ham

gāhe gāhe sañvarte rahte haiñ

dil ke sab zaḳhm pesha var haiñ miyāñ

ān hā ān bharte rahte haiñ