Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byJaun Elia(1931–2002)

tum se bhī ab to jā chukā hūñ maiñ

تم سے بھی اب تو جا چکا ہوں میں

tum se bhī ab to jā chukā hūñ maiñ

dūr hā dūr ā chukā hūñ maiñ

ye bahut ġham kī bāt ho shāyad

ab to ġham bhī gañvā chukā hūñ maiñ

is gumān-e-gumāñ ke ālam meñ

āḳhirash kyā bhulā chukā hūñ maiñ

ab babar sher ishtihā hai mirī

shāyaroñ ko to khā chukā hūñ maiñ

maiñ hūñ memār par ye batlā dūñ

shahr ke shahr ḍha chukā hūñ maiñ

hāl hai ik ajab farāġhat kā

apnā har ġham manā chukā hūñ maiñ

log kahte haiñ maiñ ne jog liyā

aur dhonī ramā chukā hūñ maiñ

nahīñ imlā durust ġhālib kā

shefta ko batā chukā hūñ maiñ