سہل یوں راہ زندگی کی ہے
Faiz Ahmad Faiz (1911–1984)سہل یوں راہ زندگی کی ہے
ہر قدم ہم نے عاشقی کی ہے
ہم نے دل میں سجا لیے گلشن
جب بہاروں نے بے رخی کی ہے
زہر سے دھو لیے ہیں ہونٹ اپنے
لطف ساقی نے جب کمی کی ہے
تیرے کوچے میں بادشاہی کی
جب سے نکلے گداگری کی ہے
بس وہی سرخ رو ہوا جس نے
بحر خوں میں شناوری کی ہے
جو گزرتے تھے داغؔ پر صدمے
اب وہی کیفیت سبھی کی ہے
sahl yun rah-e-zindagi ki hai
har qadam ham ne ashiqi ki hai
ham ne dil mein saja liye gulshan
jab baharon ne be rukhi ki hai
zahr se dho liye hain hont apne
lutf-e-saqi ne jab kami ki hai
tere kuche mein badshahi ki
jab se nikle gadagari ki hai
bas wahi surkh ru hua jis ne
bahr-e-khun mein shinawari ki hai
jo guzarte the dagh par sadme
ab wahi kaifiyat sabhi ki hai