Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byFaiz Ahmad Faiz(1911–1984)

na kisī pe zaḳhm ayāñ koī na kisī ko fikr-e-rafū kī hai

نہ کسی پہ زخم عیاں کوئی نہ کسی کو فکر رفو کی ہے

na kisī pe zaḳhm ayāñ koī na kisī ko fikr-e-rafū kī hai

na karam hai ham pe habīb kā na nigāh ham pe adū kī hai

saf-e-zāhidāñ hai to be yaqīñ saf-e-mai kashāñ hai to be talab

na vo sub.h vird-o-vuzū kī hai na vo shām-e-jām-o-subū kī hai

na ye ġham nayā na sitam nayā ke tirī jafā kā gilā kareñ

ye nazar thī pahle bhī muztarib ye kasak to dil meñ kabhū kī hai

kaf-e-bāġhbāñ pe bahār-e-gul kā hai qarz pahle se beshtar

ke har ek phūl ke pairahan meñ numūd mere lahū kī hai

nahīñ ḳhauf roz-e-siyah hameñ ke hai faiz zarf-e-nigāh meñ

abhī gosha gīr vo ik kiran jo lagan is ā.īna rū kī hai