terī sūrat jo dil nashīñ kī hai
تیری صورت جو دل نشیں کی ہےتیری صورت جو دل نشیں کی ہے
آشنا شکل ہر حسیں کی ہے
حسن سے دل لگا کے ہستی کی
ہر گھڑی ہم نے آتشیں کی ہے
صبح گل ہو کہ شام مے خانہ
مدح اس روئے نازنیں کی ہے
شیخ سے بے ہراس ملتے ہیں
ہم نے توبہ ابھی نہیں کی ہے
ذکر دوزخ بیان حور و قصور
بات گویا یہیں کہیں کی ہے
اشک تو کچھ بھی رنگ لا نہ سکے
خوں سے تر آج آستیں کی ہے
کیسے مانیں حرم کے سہل پسند
رسم جو عاشقوں کے دیں کی ہے
فیضؔ اوج خیال سے ہم نے
آسماں سندھ کی زمیں کی ہے
terī sūrat jo dil nashīñ kī hai
āshnā shakl har hasīñ kī hai
husn se dil lagā ke hastī kī
har ghaṛī ham ne ātishīñ kī hai
sub.h-e-gul ho ke shām-e-mai ḳhāna
mad.h is rū-e-nāznīñ kī hai
shaiḳh se be hirās milte haiñ
ham ne tauba abhī nahīñ kī hai
zikr-e-dozaḳh bayān-e-hūr-o-qusūr
bāt goyā yahīñ kahīñ kī hai
ashk to kuchh bhī rang lā na sake
ḳhūñ se tar āj āstīñ kī hai
kaise māneñ haram ke sahl pasand
rasm jo āshiqoñ ke deñ kī hai
faiz auj-e-ḳhayāl se ham ne
āsmāñ sandh kī zamīñ kī hai