ایماں کے ساتھ خامی ایماں بھی چاہئے
Zafar Iqbal (b. 1932)ایماں کے ساتھ خامی ایماں بھی چاہئے
عزم سفر کیا ہے تو ساماں بھی چاہئے
کچھ اصل تو کھلے کہیں اس زور و شور کی
دریا کے راستے میں بیاباں بھی چاہئے
بھڑکا تو ہے بدن میں لہو کا گلاب سا
مشکل ہے یہ کہ تنگئ داماں بھی چاہئے
اس کے نئی قمیص کے تحفے کا شکریہ
لیکن یہاں تو پیرہن جاں بھی چاہئے
اس تیرگی میں پرتو مہتاب رخ کے ساتھ
کچھ عکس آفتاب گریباں بھی چاہئے
مشکل پسند ہی سہی میں وصل میں مگر
اب کے یہ مرحلہ مجھے آساں بھی چاہئے
کچھ اس طرف بھی جوش جفا ہے نیا نیا
کچھ ظلم اپنی شان کے شایاں بھی چاہئے
ڈرتے بھی رہیے اس سے کہ اس میں بھی ہے مزا
لیکن کبھی کبھی ذرا شوں شاں بھی چاہئے
مشاطگی معنی بہت ہو چکی ظفرؔ
کچھ روز اب یہ زلف پریشاں بھی چاہئے
iman ke sath khami iman bhi chahiye
azm-e-safar kya hai to saman bhi chahiye
kuchh asl to khule kahin is zor-o-shor ki
dariya ke raste mein bayaban bhi chahiye
bharka to hai badan mein lahu ka gulab sa
mushkil hai ye ke tangi-e-daman bhi chahiye
us ke nai qamis ke tohfe ka shukriya
lekin yahan to pairahan-e-jan bhi chahiye
is tirgi mein partau-e-mahtab rukh ke sath
kuchh aks-e-aftab gareban bhi chahiye
mushkil pasand hi sahi main wasl mein magar
ab ke ye marhala mujhe asan bhi chahiye
kuchh is taraf bhi josh-e-jafa hai naya naya
kuchh zulm apni shan ke shayan bhi chahiye
darte bhi rahiye us se ke is mein bhi hai maza
lekin kabhi kabhi zara shon shan bhi chahiye
mashshatagi-e-maani bahut ho chuki zafar
kuchh roz ab ye zulf-e-pareshan bhi chahiye