مرے نشان بہت ہیں جہاں بھی ہوتا ہوں
Zafar Iqbal (b. 1932)مرے نشان بہت ہیں جہاں بھی ہوتا ہوں
مگر دراصل وہیں بے نشاں بھی ہوتا ہوں
اسی کے رہتا ہوں خواب و خیال میں اکثر
مگر کبھی کبھی اپنے یہاں بھی ہوتا ہوں
ادھر ادھر مجھے رکھتا ہے وہ بہت لیکن
کبھی کبھار مگر درمیاں بھی ہوتا ہوں
لگا بھی کرتی ہے بازار میں مری قیمت
کسی کسی کے لیے رائیگاں بھی ہوتا ہوں
بنائے رکھتے ہیں سب میر کارواں بھی مجھے
کبھی میں گرد رہ کارواں بھی ہوتا ہوں
بشر ہوں میں کئی مجبوریاں بھی ہیں میری
اداس رہتے ہوئے شادماں بھی ہوتا ہوں
پڑا ٹھٹھرتا بھی ہوں برف برف موسم میں
اسی زمانے میں آتش فشاں بھی ہوتا ہوں
بدلتی رہتی ہے میری بھی کیفیت کیا کچھ
کہ آگ ہی نہیں رہتا دھواں بھی ہوتا ہوں
میں جان و جسم ہوں گھر ہو کہ وہ گلی ہو ظفرؔ
یہاں بھی ہوتا ہوں میں اور وہاں بھی ہوتا ہوں
mire nishan bahut hain jahan bhi hota hun
magar darasl wahin be nishan bhi hota hun
usi ke rahta hun khwab-o-khayal mein aksar
magar kabhi kabhi apne yahan bhi hota hun
idhar idhar mujhe rakhta hai wo bahut lekin
kabhi kabhar magar darmiyan bhi hota hun
laga bhi karti hai bazar mein miri qimat
kisi kisi ke liye raigan bhi hota hun
banae rakhte hain sab mir-e-karwan bhi mujhe
kabhi main gard-e-rah karwan bhi hota hun
bashar hun main kai majburiyan bhi hain meri
udas rahte hue shadman bhi hota hun
para thitharta bhi hun barf barf mausam mein
isi zamane mein atish fishan bhi hota hun
badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh
ke ag hi nahin rahta dhuan bhi hota hun
main jan-o-jism hun ghar ho ke wo gali ho zafar
yahan bhi hota hun main aur wahan bhi hota hun