بینائی سے باہر کبھی اندر مجھے دیکھے
Zafar Iqbal (b. 1932)بینائی سے باہر کبھی اندر مجھے دیکھے
ممکن ہی نہیں ہے وہ برابر مجھے دیکھے
ہو جائے کبھی رات مرے دم سے بھی روشن
وہ شمع تماشا جو گھڑی بھر مجھے دیکھے
میں خود میں تو موجود ہی مشکل سے رہوں گا
ہر دیکھنے والا مرے باہر مجھے دیکھے
ڈھونڈے کوئی مجھ کو تو اسی خاک ہوس میں
یا سلسلۂ سیل ہوا پر مجھے دیکھے
ماحول ہی کچھ ہو چمن خواب کا ایسا
بلبل مجھے سمجھے تو گل تر مجھے دیکھے
اب دیکھنا ہی شرط یہ ٹھہری ہے کہ یوں ہو
میں منظر نایاب کو منظر مجھے دیکھے
دریا کی پذیرائی میں شک تو نہیں لیکن
اک لہر ہو ایسی بھی کہ اٹھ کر مجھے دیکھے
میں بار دگر ہی کہیں آتا ہوں سمجھ میں
جو دیکھنا چاہے سو مکرر مجھے دیکھے
میرا نظر آنا ہے ظفرؔ بات ہی کچھ اور
جو دیکھ نہیں سکتا وہ اکثر مجھے دیکھے
binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe
mumkin hi nahin hai wo barabar mujhe dekhe
ho jae kabhi rat mire dam se bhi raushan
wo shama tamasha jo ghari bhar mujhe dekhe
main khud mein to maujud hi mushkil se rahunga
har dekhne wala mire bahar mujhe dekhe
dhunde koi mujh ko to isi khak hawas mein
ya silsila-e-sail hawa par mujhe dekhe
mahaul hi kuchh ho chaman khwab ka aisa
bulbul mujhe samjhe to gul-e-tar mujhe dekhe
ab dekhna hi shart ye thahri hai ke yun ho
main manzar nayab ko manzar mujhe dekhe
dariya ki pazirai mein shak to nahin lekin
ik lahr ho aisi bhi ke uth kar mujhe dekhe
main bar-e-digar hi kahin ata hun samajh mein
jo dekhna chahe so mukarrar mujhe dekhe
mera nazar ana hai zafar bat hi kuchh aur
jo dekh nahin sakta wo aksar mujhe dekhe