آتش و انجماد ہے مجھ میں
Zafar Iqbal (b. 1932)آتش و انجماد ہے مجھ میں
کیسا کیسا تضاد ہے مجھ میں
خواب سے پہلے کچھ نہیں یکسر
جو بھی ہے اس کے بعد ہے مجھ میں
زخم کھلتے ہیں سانس گھٹتی ہے
ایسی بست و کشاد ہے مجھ میں
رنج دل ہے ہرا بھرا اب تک
کوئی تو ہے جو شاد ہے مجھ میں
دشمنی کا ہی رہ گیا سروکار
ورنہ کس کا مفاد ہے مجھ میں
کوئی اس کا سبب نہیں تو ہی
یہ جو اتنا فساد ہے مجھ میں
کوئی جلسہ ہے زور کا جیسے
جس کا یہ انعقاد ہے مجھ میں
جسے اب تک تلاش کرتا ہوں
گم شدہ ایک یاد ہے مجھ میں
آندھیاں سی جو چل رہی ہیں ظفرؔ
صورت خاک و باد ہے مجھ میں
atish-o-injimad hai mujh mein
kaisa kaisa tazad hai mujh mein
khwab se pahle kuchh nahin yaksar
jo bhi hai is ke baad hai mujh mein
zakhm khulte hain sans ghatti hai
aisi bast-o-kushad hai mujh mein
ranj-e-dil hai hara bhara ab tak
koi to hai jo shad hai mujh mein
dushmani ka hi rah gaya sarokar
warna kis ka mufad hai mujh mein
koi us ka sabab nahin tu hi
ye jo itna fasad hai mujh mein
koi jalsa hai zor ka jaise
jis ka ye iniqad hai mujh mein
jise ab tak talash karta hun
gum shuda ek yad hai mujh mein
andhiyan si jo chal rahi hain zafar
surat-e-khak-o-bad hai mujh mein