ترے راستوں سے جبھی گزر نہیں کر رہا
Zafar Iqbal (b. 1932)ترے راستوں سے جبھی گزر نہیں کر رہا
کہ میں اپنی عمر ابھی بسر نہیں کر رہا
کوئی بات ہے جو ہے درمیاں میں رکی ہوئی
کوئی کام ہے جو میں رات بھر نہیں کر رہا
ہے کوئی خبر جو چھپائے بیٹھا ہوں خلق سے
کوئی خواب ہے جسے در بدر نہیں کر رہا
تری بات کوئی بھی مانتا نہیں شہر میں
تو مرا کہا بھی کہیں اثر نہیں کر رہا
کہیں میرے گرد و نواح میں کوئی شے نہیں
میں کسی طرف بھی ابھی نظر نہیں کر رہا
کوئی شاخ ہے جسے برگ و بار نہیں ملے
کوئی شام ہے جسے میں شجر نہیں کر رہا
کوئی اس پہ غور اگر کرے بھی تو کس لیے
یہ سخن میں آپ بھی سوچ کر نہیں کر رہا
ابھی میری اپنی سمجھ میں بھی نہیں آ رہی
میں جبھی تو بات کو مختصر نہیں کر رہا
یہ میں اپنے عیب جو کر رہا ہوں عیاں ظفرؔ
تو دراصل یہ بھی کوئی ہنر نہیں کر رہا
tire raston se jabhi guzar nahin kar raha
ke main apni umr abhi basar nahin kar raha
koi bat hai jo hai darmiyan mein ruki hui
koi kam hai jo main rat bhar nahin kar raha
hai koi khabar jo chhupae baitha hun khalq se
koi khwab hai jise dar badar nahin kar raha
tiri bat koi bhi manta nahin shahr mein
tu mira kaha bhi kahin asar nahin kar raha
kahin mere gard-o-nawah mein koi shai nahin
main kisi taraf bhi abhi nazar nahin kar raha
koi shakh hai jise barg-o-bar nahin mile
koi sham hai jise main shajar nahin kar raha
koi us pe ghaur agar kare bhi to kis liye
ye sukhan mein ap bhi soch kar nahin kar raha
abhi meri apni samajh mein bhi nahin a rahi
main jabhi to bat ko mukhtasar nahin kar raha
ye main apne aib jo kar raha hun ayan zafar
tu darasl ye bhi koi hunar nahin kar raha