Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byZafar Iqbal(b. 1932)

agar kabhī tire āzār se nikaltā hūñ

اگر کبھی ترے آزار سے نکلتا ہوں

agar kabhī tire āzār se nikaltā hūñ

tū apne dā.ira-e-kār se nikaltā hūñ

havā-e-tāza hūñ ruknā nahīñ kahīñ bhī mujhe

gharoñ meñ ghistā hūñ ashjār se nikaltā hūñ

kabhī hai us ke muzāfāt meñ numūd mirī

kabhī maiñ apne hī āsār se nikaltā hūñ

maiñ ghar meñ jab nahīñ hotā to ghās kī sūrat

darīcha-o-dar-o-dīvār se nikaltā hūñ

isī kināra-e-dariyā-e-zāt par har dam

ġhurūb hotā hūñ us pār se nikaltā hūñ

vidā kartī hai rozāna zindagī mujh ko

maiñ roz maut ke manjdhār se nikaltā hūñ

rukā huā koī sailāb hūñ tabī.at kā

hamesha tundī-e-raftār se nikaltā hūñ

use bhī kuchh mirī himmat hī jāniye jo kabhī

ḳhayāl-o-ḳhvāb ke ambār se nikaltā hūñ

libās bechtā hūñ jā ke pahle apnā zafar

to kuchh ḳharīd ke bāzār se nikaltā hūñ

tire āsmāñ kī zamīñ ho gayā hūñ

huā hūñ to apne ta.īñ ho gayā hūñ

milī hai jagah dil meñ thoṛī sī us ke

samajh lo ke gosha nashīñ ho gayā hūñ

yahāñ par maiñ honā nahīñ chāhtā thā

magar hote hote yahīñ ho gayā hūñ

tire pā.oñ paṛne se inkār kar dūñ

maiñ itnā to ḳhud sar nahīñ ho gayā hūñ

jahāñ mujh ko hone se rokā thā us ne

nahīñ bāz āyā vahīñ ho gayā hūñ

makāñ jis kā naqsha abhī ban rahā hai

maiñ filhāl us kā makīñ ho gayā hūñ

tavajjoh kā tālib hūñ is tarah se bhī

agar āp kā nukta chīñ ho gayā hūñ

buṛhāpe se aglī ye manzil hai koī

javāñ ho gayā hūñ hasīñ ho gayā hūñ

use bhī zafar merī himmat hī samjho

kahīñ ho na pāyā kahīñ ho gayā hūñ