jo nāravā thā us ko ravā karne āyā hūñ
جو ناروا تھا اس کو روا کرنے آیا ہوںجو ناروا تھا اس کو روا کرنے آیا ہوں
میں قرض دوسروں کا ادا کرنے آیا ہوں
اک تازہ تر فتور مرے سر میں اور ہے
جو کر چکا ہوں اس سے سوا کرنے آیا ہوں
خود اک سوال ہے مرا آنا ہی اس طرف
اب کیا بتایئے کہ میں کیا کرنے آیا ہوں
کہنی ہے دوسروں سے الگ میں نے کوئی بات
میں کام کوئی سب سے جدا کرنے آیا ہوں
اک داغ ہے کہ جس کا لگانا ہے اب سراغ
اک زخم ہے کہ جس کو ہرا کرنے آیا ہوں
انجام کار دل کا یہ دروازہ توڑ کر
میں سارے قیدیوں کو رہا کرنے آیا ہوں
رکھتا ہوں اپنا آپ بہت کھینچ تان کر
چھوٹا ہوں اور خود کو بڑا کرنے آیا ہوں
جو کر رہے ہیں ایسے ہی کرتے رہیں گے سب
میں تو فضول چون و چرا کرنے آیا ہوں
خیرات کا مجھے کوئی لالچ نہیں ظفرؔ
میں اس گلی میں صرف صدا کرنے آیا ہوں
jo nāravā thā us ko ravā karne āyā hūñ
maiñ qarz dūsroñ kā adā karne āyā hūñ
ik tāza tar futūr mire sar meñ aur hai
jo kar chukā hūñ us se sivā karne āyā hūñ
ḳhud ik savāl hai mirā ānā hī is taraf
ab kyā batā.iye ke maiñ kyā karne āyā hūñ
kahnī hai dūsroñ se alag maiñ ne koī bāt
maiñ kām koī sab se judā karne āyā hūñ
ik dāġh hai ke jis kā lagānā hai ab surāġh
ik zaḳhm hai ke jis ko harā karne āyā hūñ
anjām kār dil kā ye darvāza toṛ kar
maiñ sāre qaidiyoñ ko rahā karne āyā hūñ
rakhtā hūñ apnā āp bahut khīñch tān kar
chhoṭā hūñ aur ḳhud ko baṛā karne āyā hūñ
jo kar rahe haiñ aise hī karte raheñge sab
maiñ to fuzūl chūn-o-churā karne āyā hūñ
ḳhairāt kā mujhe koī lālach nahīñ zafar
maiñ us galī meñ sirf sadā karne āyā hūñ