حدود جلوۂ کون و مکاں میں رہتے ہیں
Qateel Shifai (1919–2001)حدود جلوۂ کون و مکاں میں رہتے ہیں
نہ جانے اہل نظر کس جہاں میں رہتے ہیں
ہمیں تو موسم گل نے ہی کر دیا رسوا
سنا ہے لوگ سلامت خزاں میں رہتے ہیں
عیاں ہے ان کے ستم سے ہمارا ذوق نیاز
ہم آگ بن کے مزاج بتاں میں رہتے ہیں
کہاں تلاش کرے گی ہمیں بہار کہ ہم
کبھی قفس میں کبھی آشیاں میں رہتے ہیں
وہ راز جن کا لبوں نے نہ احترام کیا
برہنہ ہو کے دل رازداں میں رہتے ہیں
غرور حکمت و دانش میں جھومنے والو
کچھ اہل دل بھی اسی خاکداں میں رہتے ہیں
قتیلؔ ارض وطن میں بھی ہوں میں خاک بسر
مرے نصیب کہیں آسماں میں رہتے ہیں
hudud-e-jalwa-e-kaun-o-makan mein rahte hain
na jane ahl-e-nazar kis jahan mein rahte hain
hamen to mausam-e-gul ne hi kar diya ruswa
suna hai log salamat khizan mein rahte hain
ayan hai un ke sitam se hamara zauq-e-niyaz
ham ag ban ke mizaj-e-butan mein rahte hain
kahan talash karegi hamen bahar ke ham
kabhi qafas mein kabhi ashiyan mein rahte hain
wo raz jin ka labon ne na ehtiram kiya
barahna ho ke dil razdan mein rahte hain
ghurur-e-hikmat-o-danish mein jhumne walo
kuchh ahl-e-dil bhi isi khakdan mein rahte hain
qatil-e-arz-e-watan mein bhi hun main khak basar
mire nasib kahin asman mein rahte hain