میں فقط چلتی رہی منزل کو سر اس نے کیا
Parveen Shakir (1952–1994)میں فقط چلتی رہی منزل کو سر اس نے کیا
ساتھ میرے روشنی بن کر سفر اس نے کیا
اس طرح کھینچی ہے میرے گرد دیوار خبر
سارے دشمن روزنوں کو بے نظر اس نے کیا
مجھ میں بستے سارے سناٹوں کی لے اس سے بنی
پتھروں کے درمیاں تھی نغمہ گر اس نے کیا
بے سر و ساماں پہ دل داری کی چادر ڈال دی
بے در و دیوار تھی میں مجھ کو گھر اس نے کیا
پانیوں میں یہ بھی پانی ایک دن تحلیل تھا
قطرۂ بے صرفہ کو لیکن گہر اس نے کیا
ایک معمولی سی اچھائی تراشی ہے بہت
اور فکر خام سے صرف نظر اس نے کیا
پھر تو امکانات پھولوں کی طرح کھلتے گئے
ایک ننھے سے شگوفے کو شجر اس نے کیا
طاق میں رکھے دیے کو پیار سے روشن کیا
اس دیے کو پھر چراغ رہ گزر اس نے کیا
main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya
sath mere raushni ban kar safar us ne kiya
is tarah khinchi hai mere gard-e-diwar-e-khabar
sare dushman rauzanon ko be nazar us ne kiya
mujh mein baste sare sannaton ki le us se bani
pattharon ke darmiyan thi naghma gar us ne kiya
be sar-o-saman pe dil dari ki chadar dal di
be dar-o-diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya
paniyon mein ye bhi pani ek din tahlil tha
qatra-e-be sarfa ko lekin guhar us ne kiya
ek maamuli si achchhai tarashi hai bahut
aur fikr-e-kham se sirf-e-nazar us ne kiya
phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae
ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya
taq mein rakhe diye ko pyar se raushan kiya
is diye ko phir charagh-e-rah guzar us ne kiya