نیل فلک کے اسم میں نقش اسیر کے سبب
Munir Niazi (1928–2006)نیل فلک کے اسم میں نقش اسیر کے سبب
حیرت ہے آب و خاک میں ماہ منیر کے سبب
بن میں علاحدگی سی ہے اس کے جمال سبز سے
دائم فضا فراق کی شجر پیر کے سبب
وسعت شہر تنگ دل سرما کی صبح سرد میں
جاگی ہے ڈر کے خواب سے صورت فقیر کے سبب
صحن مکاں میں شل ہے دست دعائے آگہی
دل میں ہے شوق بے حساب حد کی لکیر کے سبب
زخم وجود کی دوا بس وہی آخری صدا
زندہ ہوں جس کے شوق میں صبر کبیر کے سبب
سحر ہے موت میں منیرؔ جیسے ہے سحر آئنہ
ساری کشش ہے چیز میں اپنی نظیر کے سبب
nil falak ke ism mein naqsh asir ke sabab
hairat hai ab-o-khak mein mah-e-munir ke sabab
ban mein alahidagi si hai us ke jamal-e-sabz se
daim faza firaq ki shajar pir ke sabab
wusat-e-shahr tang dil sarma ki subh sard mein
jagi hai dar ke khwab se surat faqir ke sabab
sehn-e-makan mein shil hai dast-e-dua-e-agahi
dil mein hai shauq-e-be hisab had ki lakir ke sabab
zakhm wajud ki dawa bas wahi akhiri sada
zinda hun jis ke shauq mein sabr kabir ke sabab
sehr hai maut mein munir jaise hai sehr aina
sari kashish hai chiz main apni nazir ke sabab