دل خوف میں ہے عالم فانی کو دیکھ کر
Munir Niazi (1928–2006)دل خوف میں ہے عالم فانی کو دیکھ کر
آتی ہے یاد موت کی پانی کو دیکھ کر
ہے باب شہر مردہ گزر گاہ باد شام
میں چپ ہوں اس جگہ کی گرانی کو دیکھ کر
ہل سی رہی ہے حد سفر فرط شوق سے
دھندلا رہے ہیں حرف معانی کو دیکھ کر
آزردہ ہے مکان میں خاک زمین بھی
چیزوں میں شوق نقل مکانی کو دیکھ کر
dil khauf mein hai alam-e-fani ko dekh kar
ati hai yad maut ki pani ko dekh kar
hai bab-e-shahr-e-murda guzar gah bad-e-sham
main chup hun is jagah ki girani ko dekh kar
hal si rahi hai had-e-safar fart-e-shauq se
dhundla rahe hain harf-e-maani ko dekh kar
azurda hai makan mein khak zamin bhi
chizon mein shauq naql-e-makani ko dekh kar