نواح وسعت میداں میں حیرانی بہت ہے
Munir Niazi (1928–2006)نواح وسعت میداں میں حیرانی بہت ہے
دلوں میں اس خرابی سے پریشانی بہت ہے
کہاں سے ہے کہاں تک ہے خبر اس کی نہیں ملتی
یہ دنیا اپنے پھیلاؤ میں انجانی بہت ہے
بڑی مشکل سے یہ جانا کہ ہجر یار میں رہنا
بہت مشکل ہے پر آخر میں آسانی بہت ہے
بسر جتنی ہوئی بے کار و بے منزل زمانے میں
مجھے اس زندگانی پر پشیمانی بہت ہے
نکل آتے ہیں رستے خود بہ خود جب کچھ نہ ہوتا ہو
کہ مشکل میں ہمیں خوابوں کی ارزانی بہت ہے
بہت رونق ہے بازاروں میں گلیوں اور محلوں میں
پر اس رونق سے شہر دل میں ویرانی بہت ہے
nawah-e-wusat-e-maidan mein hairani bahut hai
dilon mein is kharabi se pareshani bahut hai
kahan se hai kahan tak hai khabar us ki nahin milti
ye duniya apne phailao mein anjani bahut hai
bari mushkil se ye jana ke hijr-e-yar mein rahna
bahut mushkil hai par akhir mein asani bahut hai
basar jitni hui be kar-o-be manzil zamane mein
mujhe is zindagani par pashemani bahut hai
nikal ate hain raste khud ba khud jab kuchh na hota ho
ke mushkil mein hamen khwabon ki arzani bahut hai
bahut raunaq hai bazaron mein galiyon aur mahlon mein
par is raunaq se shahr-e-dil mein wirani bahut hai