دشت باراں کی ہوا سے پھر ہرا سا ہو گیا
Munir Niazi (1928–2006)دشت باراں کی ہوا سے پھر ہرا سا ہو گیا
میں فقط خوشبو سے اس کی تازہ دم سا ہو گیا
اس کے ہونے سے ہوا پیدا خیال جاں فزا
جیسے اک مردہ زمیں میں باغ پیدا ہو گیا
پھر ہوائے عشق سے آشفتگی خوباں میں ہے
ان دنوں میں حسن بھی آزار جیسا ہو گیا
ہے کہیں محصور شاید وہ حقیقت عہد کی
جس کا رستہ دیکھتے اتنا زمانہ ہو گیا
غم رہا ہے حال کہنا دل کا اس بت سے منیرؔ
جس کے غم میں اپنے دل کا حال ایسا ہو گیا
dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya
main faqat khushbu se us ki taza dam sa ho gaya
us ke hone se hua paida khayal-e-jan faza
jaise ik murda zamin mein bagh paida ho gaya
phir hawa-e-ishq se ashuftagi khuban mein hai
in dinon mein husn bhi azar jaisa ho gaya
hai kahin mahsur shayad wo haqiqat ahd ki
jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya
gham raha hai hal kahna dil ka us but se munir
jis ke gham main apne dil ka hal aisa ho gaya