دل کو حال قرار میں دیکھا
Munir Niazi (1928–2006)دل کو حال قرار میں دیکھا
یہ کرشمہ بہار میں دیکھا
جس کو چاہا خمار میں چاہا
جس کو دیکھا غبار میں دیکھا
خواہشوں کو بہت ہوا دینا
وصف یہ ہم نے یار میں دیکھا
اک بشر میں کئی بشر دیکھے
جز و کل کے حصار میں دیکھا
جب سے دیکھا ہے اس زمیں کو منیرؔ
قید لیل و نہار میں دیکھا
dil ko hal-e-qarar mein dekha
ye karishma bahar mein dekha
jis ko chaha khumar mein chaha
jis ko dekha ghubar mein dekha
khwahishon ko bahut hua dena
wasf ye ham ne yar mein dekha
ik bashar mein kai bashar dekhe
juz-o-kal ke hisar mein dekha
jab se dekha hai is zamin ko munir
qaid-e-lail-o-nahar mein dekha