وہ بھی سراہنے لگے ارباب فن کے بعد
Kaifi Azmi (1919–2002)وہ بھی سراہنے لگے ارباب فن کے بعد
داد سخن ملی مجھے ترک سخن کے بعد
دیوانہ وار چاند سے آگے نکل گئے
ٹھہرا نہ دل کہیں بھی تری انجمن کے بعد
ہونٹوں کو سی کے دیکھیے پچھتائیے گا آپ
ہنگامے جاگ اٹھتے ہیں اکثر گھٹن کے بعد
غربت کی ٹھنڈی چھاؤں میں یاد آئی اس کی دھوپ
قدر وطن ہوئی ہمیں ترک وطن کے بعد
اعلان حق میں خطرۂ دار و رسن تو ہے
لیکن سوال یہ ہے کہ دار و رسن کے بعد
انساں کی خواہشوں کی کوئی انتہا نہیں
دو گز زمیں بھی چاہئے دو گز کفن کے بعد
wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad
dad-e-sukhan mili mujhe tark-e-sukhan ke baad
diwana war chand se age nikal gae
thahra na dil kahin bhi tiri anjuman ke baad
honton ko si ke dekhiye pachhtaiyega ap
hangame jag uthte hain aksar ghutan ke baad
ghurbat ki thandi chhaon mein yad ai us ki dhup
qadar watan hui hamen tark-e-watan ke baad
elan-e-haq mein khatra-e-dar-o-rasan to hai
lekin sawal ye hai ke dar-o-rasan ke baad
insan ki khwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad