یہ تسلی ہے کہ ہیں ناشاد سب
Javed Akhtar (b. 1945)یہ تسلی ہے کہ ہیں ناشاد سب
میں اکیلا ہی نہیں برباد سب
سب کی خاطر ہیں یہاں سب اجنبی
اور کہنے کو ہیں گھر آباد سب
بھول کے سب رنجشیں سب ایک ہیں
میں بتاؤں سب کو ہوگا یاد سب
سب کو دعوائے وفا سب کو یقیں
اس اداکاری میں ہیں استاد سب
شہر کے حاکم کا یہ فرمان ہے
قید میں کہلائیں گے آزاد سب
چار لفظوں میں کہو جو بھی کہو
اس کو کب فرصت سنے فریاد سب
تلخیاں کیسے نہ ہوں اشعار میں
ہم پہ جو گزری ہمیں ہے یاد سب
ye tasalli hai ke hain nashad sab
main akela hi nahin barbad sab
sab ki khatir hain yahan sab ajnabi
aur kahne ko hain ghar abad sab
bhul ke sab ranjishen sab ek hain
main bataun sab ko hoga yad sab
sab ko daawae wafa sab ko yaqin
is adakari mein hain ustad sab
shahr ke hakim ka ye farman hai
qaid mein kahlaenge azad sab
char lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyad sab
talkhiyan kaise na hun ashar mein
ham pe jo guzri hamen hai yad sab