ساری حیرت ہے مری ساری ادا اس کی ہے
Javed Akhtar (b. 1945)ساری حیرت ہے مری ساری ادا اس کی ہے
بے گناہی ہے مری اور سزا اس کی ہے
میرے الفاظ میں جو رنگ ہے وہ اس کا ہے
میرے احساس میں جو ہے وہ فضا اس کی ہے
شعر میرے ہیں مگر ان میں محبت اس کی
پھول میرے ہیں مگر باد صبا اس کی ہے
اک محبت کی یہ تصویر ہے دو رنگوں میں
شوق سب میرا ہے اور ساری حیا اس کی ہے
ہم نے کیا اس سے محبت کی اجازت لی تھی
دل شکن ہی سہی پر بات بجا اس کی ہے
ایک میرے ہی سوا سب کو پکارے ہے کوئی
میں نے پہلے ہی کہا تھا یہ صدا اس کی ہے
خون سے سینچی ہے میں نے جو زمیں مر مر کے
وہ زمیں ایک ستم گر نے کہا اس کی ہے
اس نے ہی اس کو اجاڑا ہے اسے لوٹا ہے
یہ زمیں اس کی اگر ہے بھی تو کیا اس کی ہے
sari hairat hai miri sari ada us ki hai
be gunahi hai miri aur saza us ki hai
mere alfaz mein jo rang hai wo us ka hai
mere ehsas mein jo hai wo faza us ki hai
sher mere hain magar un mein mohabbat us ki
phul mere hain magar bad-e-saba us ki hai
ik mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
ham ne kya us se mohabbat ki ijazat li thi
dil shikan hi sahi par bat baja us ki hai
ek mere hi siwa sab ko pukare hai koi
main ne pahle hi kaha tha ye sada us ki hai
khun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke
wo zamin ek sitam gar ne kaha us ki hai
us ne hi us ko ujara hai use lauta hai
ye zamin us ki agar hai bhi to kya us ki hai