جدھر جاتے ہیں سب جانا ادھر اچھا نہیں لگتا
Javed Akhtar (b. 1945)جدھر جاتے ہیں سب جانا ادھر اچھا نہیں لگتا
مجھے پامال رستوں کا سفر اچھا نہیں لگتا
غلط باتوں کو خاموشی سے سننا حامی بھر لینا
بہت ہیں فائدے اس میں مگر اچھا نہیں لگتا
مجھے دشمن سے بھی خودداری کی امید رہتی ہے
کسی کا بھی ہو سر قدموں میں سر اچھا نہیں لگتا
بلندی پر انہیں مٹی کی خوشبو تک نہیں آتی
یہ وہ شاخیں ہیں جن کو اب شجر اچھا نہیں لگتا
یہ کیوں باقی رہے آتش زنو یہ بھی جلا ڈالو
کہ سب بے گھر ہوں اور میرا ہو گھر اچھا نہیں لگتا
jidhar jate hain sab jana idhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta
ghalat baton ko khamoshi se sunna hami bhar lena
bahut hain faide is mein magar achchha nahin lagta
mujhe dushman se bhi khuddari ki ummid rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta
bulandi par unhen mitti ki khushbu tak nahin ati
ye wo shakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta
ye kyun baqi rahe atish zano ye bhi jala dalo
ke sab be ghar hun aur mera ho ghar achchha nahin lagta