ہمارے دل میں اب تلخی نہیں ہے
Javed Akhtar (b. 1945)ہمارے دل میں اب تلخی نہیں ہے
مگر وہ بات پہلے سی نہیں ہے
مجھے مایوس بھی کرتی نہیں ہے
یہی عادت تری اچھی نہیں ہے
بہت سے فائدے ہیں مصلحت میں
مگر دل کی تو یہ مرضی نہیں ہے
ہر اک کی داستاں سنتے ہیں جیسے
کبھی ہم نے محبت کی نہیں ہے
ہے اک دروازے بن دیوار دنیا
مفر غم سے یہاں کوئی نہیں ہے
hamare dil mein ab talkhi nahin hai
magar wo bat pahle si nahin hai
mujhe mayus bhi karti nahin hai
yahi adat tiri achchhi nahin hai
bahut se faide hain maslahat mein
magar dil ki to ye marzi nahin hai
har ik ki dastan sunte hain jaise
kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai
hai ik darwaze ban diwar duniya
mafar gham se yahan koi nahin hai