تری زلف زنار کا تار ہے
Siraj Aurangabadi (1712–1764)تری زلف زنار کا تار ہے
کہ جس تار میں دل گرفتار ہے
کرشمے کے لشکر میں وو شاہ حسن
صف خوب رویاں کا سردار ہے
تلطف سیں پوچھے گا کب درد دل
ستمگر ہے سرکش ہے عیار ہے
جسے دل خراشی نہیں عشق کی
طریق محبت میں بے کار ہے
سجن لطف کر نرگس باغ پر
تری چشم مے گوں کا بیمار ہے
شفا دے مجھے مرہم وصل سوں
جگر پر مرے ہجر کا وار ہے
شب ہجر میں گل بدن کے سراجؔ
نظر میں مری شمع جیوں خار ہے
tiri zulf zunnar ka tar hai
ke jis tar mein dil giraftar hai
karishme ke lashkar mein wo shah-e-husn
saf-e-khub rawiyan ka sardar hai
talattuf sin puchhega kab dard-e-dil
sitamgar hai sarkash hai ayyar hai
jise dil kharashi nahin ishq ki
tariq-e-mohabbat mein be kar hai
sajan lutf kar nargis-e-bagh par
tiri chashm-e-mai gun ka bimar hai
shifa de mujhe marham-e-wasl sun
jigar par mire hijr ka war hai
shab-e-hijr mein gul badan ke siraj
nazar mein miri shama jyun khar hai