کوئی دیتا نہیں ہے داد بے داد
Shah Hatim (1699–1783)کوئی دیتا نہیں ہے داد بے داد
کوئی سنتا نہیں فریاد فریاد
کہیں ہیں کیا بلا دام بلا ہے
تیری زلفوں کو اے صیاد صیاد
نہ رکھ امید آسائش جہاں میں
کہ ہے دنیا کی بے بنیاد بنیاد
تجھے معشوقیت کے فن میں محبوب
کہیں ہیں عشق کے استاد استاد
گئی غفلت میں ساری عمر حاتمؔ
کہ جیسی خاک رہ برباد برباد
koi deta nahin hai dad be dad
koi sunta nahin fariyad fariyad
kahin hain kya bala dam-e-bala hai
teri zulfon ko ai sayyad sayyad
na rakh ummid asaish jahan mein
ke hai duniya ki be buniyad buniyad
tujhe maashuqiyat ke fan mein mahbub
kahin hain ishq ke ustad ustad
gai ghaflat mein sari umr hatim
ke jaisi khak-e-rah barbad barbad