تجھ بن آرام جاں کہاں ہے مجھے
Mir Mohammadi Bedar (d. 1786)تجھ بن آرام جاں کہاں ہے مجھے
زندگانی وبال جاں ہے مجھے
گر یہی درد ہجر ہے تیرا
زیست کا اپنی کب گماں ہے مجھے
مثل طوطی ہزار معنی میں
سحر ساز سخن زباں ہے مجھے
ہے خیال اس کا مانع گفتار
ورنہ سو قوت بیاں ہے مجھے
خامشی بے سبب نہیں بیدارؔ
باعث زیستن دہاں ہے مجھے
tujh bin aram-e-jan kahan hai mujhe
zindagani wabal-e-jan hai mujhe
gar yahi dard-e-hijr hai tera
zist ka apni kab guman hai mujhe
misl-e-tuti hazar maani mein
sehr saz-e-sukhan zaban hai mujhe
hai khayal us ka mane-e-guftar
warna so quwwat-e-bayan hai mujhe
khamushi be sabab nahin bedar
bais-e-zestan dahan hai mujhe