وجد اہل کمال ہے کچھ اور
Mir Mohammadi Bedar (d. 1786)وجد اہل کمال ہے کچھ اور
شیخ صاحب کا حال ہے کچھ اور
ہوش جاتا ہے اہل ہوش کا سن
تیرے مستوں کا حال ہے کچھ اور
فخر انساں نہیں ملک ہونا
جی میں اپنے خیال ہے کچھ اور
جس کو کہتے ہیں وصل وصل نہیں
معنیٔ اتصال ہے کچھ اور
غیر حرف نیاز سو بھی کبھو
کہہ سکوں ہوں مجال ہے کچھ اور
رخ خورشید پر کہاں وہ نور
میرے مہ کا جمال ہے کچھ اور
سرو! دعویٔ ہم سری مت کر
وہ قد نونہال ہے کچھ اور
کبک تو خوش خرام ہے لیکن
یار کی میرے چال ہے کچھ اور
دیکھ چل تو بھی حالت بیدارؔ
آج اس کا تو حال ہے کچھ اور
wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur
shaikh sahab ka hal hai kuchh aur
hosh jata hai ahl-e-hosh ka sun
tere maston ka hal hai kuchh aur
fakhr-e-insan nahin malak hona
ji main apne khayal hai kuchh aur
jis ko kahte hain wasl wasl nahin
maani-e-ittisal hai kuchh aur
ghair harf-e-niyaz so bhi kabhu
kah sakun hun majal hai kuchh aur
rukh-e-khurshid par kahan wo nur
mere mah ka jamal hai kuchh aur
sarw! daawa-e-ham siri mat kar
wo qad-e-naunihal hai kuchh aur
kabk to khush khiram hai lekin
yar ki mere chal hai kuchh aur
dekh chal tu bhi halat-e-bedar
aj us ka to hal hai kuchh aur