وزن اب ان کا معین نہیں ہو سکتا کچھ
Akbar Allahabadi (1846–1921)وزن اب ان کا معین نہیں ہو سکتا کچھ
برف کی طرح مسلمان گھلے جاتے ہیں
داغ اب ان کی نظر میں ہیں شرافت کے نشاں
نئی تہذیب کی موجوں سے دھلے جاتے ہیں
علم نے رسم نے مذہب نے جو کی تھی بندش
ٹوٹی جاتی ہے وہ سب بند کھلے جاتے ہیں
شیخ کو وجد میں لائی ہیں پیانوں کی گتیں
پیچ دستار فضیلت کے کھلے جاتے ہیں
wazn ab un ka muin nahin ho sakta kuchh
barf ki tarah musalman ghule jate hain
dagh ab un ki nazar mein hain sharafat ke nishan
nai tahzib ki maujon se dhule jate hain
ilm ne rasm ne mazhab ne jo ki thi bandish
tuti jati hai wo sab band khule jate hain
shaikh ko wajd mein lai hain piyanon ki gaten
pech dastar-e-fazilat ke khule jate hain