ملک کی محبت
احمق پھپھوندویجسے ملک سے اپنے الفت نہیں ہے
وہ دل قابل عفو و رحمت نہیں ہے
بڑی چیز ہیں اتحاد و محبت
بغیر ان کے دنیا میں عزت نہیں ہے
خدایا وطن کی محبت عطا کر
کہ اس کے سوا کوئی دولت نہیں ہے
یہ آپس کی ناچاقیاں ختم کر دو
کوئی اس سے بڑھ کر جہالت نہیں ہے
جو تعلیم دیتا ہے جنگ و جدل کی
کبھی مصلح ملک و ملت نہیں ہے
جو رکھتا ہے آپس میں بغض و عداوت
وہ ہرگز سزاوار عظمت نہیں ہے
سکھاتا ہے جو خود سری و شرارت
وطن کو اب اس کی ضرورت نہیں ہے
الٰہی ان آنکھوں کو بے نور کر دے
جن آنکھوں میں نور مروت نہیں ہے
جو انسان ہے آدمیت سے خالی
اسے جانور پر فضیلت نہیں ہے
نہیں عزت قوم جس کی نظر میں
جہاں میں کہیں اس کی عزت نہیں ہے
حکومت وہ برباد ہو کر رہے گی
رعایا کو جس کی ضرورت نہیں ہے
jise mulk se apne ulfat nahin hai
wo dil qabil-e-afw-o-rahmat nahin hai
bari chiz hain ittihad-o-mohabbat
baghair un ke duniya mein izzat nahin hai
khudaya watan ki mohabbat ata kar
ke us ke siwa koi daulat nahin hai
ye apas ki nachaqiyan khatm kar do
koi is se barh kar jahalat nahin hai
jo taalim deta hai jang-o-jadal ki
kabhi musleh-e-mulk-o-millat nahin hai
jo rakhta hai apas mein bughz-o-adawat
wo hargiz sazawar-e-azmat nahin hai
sikhata hai jo khud siri-o-shararat
watan ko ab us ki zarurat nahin hai
ilahi in ankhon ko be nur kar de
jin ankhon mein nur-e-murawwat nahin hai
jo insan hai admiyyat se khali
use janwar par fazilat nahin hai
nahin izzat-e-qaum jis ki nazar mein
jahan mein kahin us ki izzat nahin hai
hukumat wo barbad ho kar rahegi
riaya ko jis ki zarurat nahin hai