محبّت کا جُنوں باقی نہیں ہے
Allama Iqbal (1877–1938)محبّت کا جُنوں باقی نہیں ہے
مسلمانوں میں خُوں باقی نہیں ہے
صفیں کج، دل پریشاں، سجدہ بے ذوق
کہ جذبِ اندرُوں باقی نہیں ہے
mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda be zauq
ke jazb-e-andarun baqi nahin hai