غیر کو منہ لگا کے دیکھ لیا
Dagh Dehlvi (1831–1905)غیر کو منہ لگا کے دیکھ لیا
جھوٹ سچ آزما کے دیکھ لیا
ان کے گھر داغؔ جا کے دیکھ لیا
دل کے کہنے میں آ کے دیکھ لیا
کتنی فرحت فزا تھی بوئے وفا
اس نے دل کو جلا کے دیکھ لیا
کبھی غش میں رہا شب وعدہ
کبھی گردن اٹھا کے دیکھ لیا
جنس دل ہے یہ وہ نہیں سودا
ہر جگہ سے منگا کے دیکھ لیا
لوگ کہتے ہیں چپ لگی ہے تجھے
حال دل بھی سنا کے دیکھ لیا
جاؤ بھی کیا کرو گے مہر و وفا
بارہا آزما کے دیکھ لیا
زخم دل میں نہیں ہے قطرۂ خوں
خوب ہم نے دکھا کے دیکھ لیا
ادھر آئینہ ہے ادھر دل ہے
جس کو چاہا اٹھا کے دیکھ لیا
ان کو خلوت سرا میں بے پردہ
صاف میدان پا کے دیکھ لیا
اس نے صبح شب وصال مجھے
جاتے جاتے بھی آ کے دیکھ لیا
تم کو ہے وصل غیر سے انکار
اور جو ہم نے آ کے دیکھ لیا
داغؔ نے خوب عاشقی کا مزا
جل کے دیکھا جلا کے دیکھ لیا
ghair ko munh laga ke dekh liya
jhut sach azma ke dekh liya
un ke ghar dagh ja ke dekh liya
dil ke kahne mein a ke dekh liya
kitni farhat faza thi bu-e-wafa
us ne dil ko jala ke dekh liya
kabhi ghash mein raha shab-e-waada
kabhi gardan utha ke dekh liya
jins-e-dil hai ye wo nahin sauda
har jagah se manga ke dekh liya
log kahte hain chup lagi hai tujhe
hal-e-dil bhi suna ke dekh liya
jao bhi kya karoge mehr-o-wafa
barha azma ke dekh liya
zakhm-e-dil mein nahin hai qatra-e-khun
khub ham ne dikha ke dekh liya
idhar aina hai idhar dil hai
jis ko chaha utha ke dekh liya
un ko khalwat sara mein be parda
saf maidan pa ke dekh liya
us ne subh-e-shab-e-wisal mujhe
jate jate bhi a ke dekh liya
tum ko hai wasl-e-ghair se inkar
aur jo ham ne a ke dekh liya
dagh ne khub ashiqi ka maza
jal ke dekha jala ke dekh liya