کوئی دن گر زندگانی اور ہے
Mirza Ghalib (1797–1869)کوئی دن گر زندگانی اور ہے
اپنے جی میں ہم نے ٹھانی اور ہے
آتشِ دوزخ میں یہ گرمی کہاں
سوزِ غم ہاۓ نہانی اور ہے
بارہا دیکھی ہیں ان کی رنجشیں
پر کچھ اب کے سر گرانی اور ہے
دے کے خط منہ دیکھتا ہے نامہ بر
کچھ تو پیغامِ زبانی اور ہے
قاطعِ اعمار ہیں اکثر نجوم
وہ بلاۓ آسمانی اور ہے
ہو چکیں غالب بلائیں سب تمام
ایک مرگِ ناگہانی اور ہے
koi din gar zindagani aur hai
apne ji mein ham ne thani aur hai
atish-e-dozakh mein ye garmi kahan
soz-e-gham ha-e-nihani aur hai
barha dekhi hain un ki ranjishen
par kuchh ab ke sar girani aur hai
de ke khat munh dekhta hai nama bar
kuchh to paigham-e-zabani aur hai
qate-e-aamar hain aksar nujum
wo bala-e-asmani aur hai
ho chuken ghalib balaen sab tamam
ek marg-e-nagahani aur hai