جہاں ہے قد اس کا جلوہ فرما تو سرو واں کس حساب میں ہے
Nazeer Akbarabadi (1735–1830)جہاں ہے قد اس کا جلوہ فرما تو سرو واں کس حساب میں ہے
وہ قامت ایسا ہے کچھ قیامت قیامت اس کی رکاب میں ہے
یہ سب غلط ہے جو یوں ہیں کہتے کہ اس کا مکھڑا نقاب میں ہے
نقاب کیا ہے وہ شرمگیں تو نقاب سے بھی حجاب میں ہے
وہ گورا پنڈا اور اس میں سرخی مگر خدا نے لے سر سے تا پا
کیا ہے میدا تو موتیوں کا اور اس کو گوندھا شہاب میں ہے
جھپک جو مکھڑے کی دیکھی اس کے تو ہم نے اپنے یہ دل میں جانا
انہی کے پرتو سے مہ ہے روشن اسی کا نور آفتاب میں ہے
رہے گا محبوب جس مکاں میں تو واں ہی دیکھیں گے اس کو جا کر
غرض وہ جس کا کہ نام دل ہے یہ دھن اس عالی جناب میں ہے
جو غصہ ہو کر وہ دیوے گالی تو اس ادا سے کہ ہم تو کیا ہیں
فرشتے غش ہو کے لوٹ جاویں یہ لطف اس کے عتاب میں ہے
بندھا ہے جب سے خیال اس کا عجب طرح کی لگن لگی ہے
کبھی وہ دل میں کبھی وہ جی میں کبھی وہ چشم پر آب میں ہے
وہی ادھر ہے وہی ادھر ہے وہی زباں پر وہی نظر میں
جو جاگتا ہوں تو دھیان میں ہے جو سو گیا ہوں تو خواب میں ہے
نظیرؔ سیکھے سے علم رسمی بشر کی ہوتی ہیں چار آنکھیں
پڑھے سے جس کے ہوں لاکھ آنکھیں وہ علم دل کی کتاب میں ہے
jahan hai qad us ka jalwa farma to sarw wan kis hisab mein hai
wo qamat aisa hai kuchh qayamat qayamat us ki rikab mein hai
ye sab ghalat hai jo yun hain kahte ke us ka mukhra naqab mein hai
naqab kya hai wo sharmgin to naqab se bhi hijab mein hai
wo gora pinda aur is mein surkhi magar khuda ne le sar se ta pa
kya hai maida to motiyon ka aur us ko gundha shahab mein hai
jhapak jo mukhre ki dekhi us ke to ham ne apne ye dil mein jana
unhi ke partau se mah hai raushan usi ka nur-e-aftab mein hai
rahega mahbub jis makan mein to wan hi dekhenge us ko ja kar
gharaz wo jis ka ke nam dil hai ye dhun is ali janab mein hai
jo ghussa ho kar wo dewe gali to is ada se ke ham to kya hain
farishte ghash ho ke laut jawen ye lutf us ke itab mein hai
bandha hai jab se khayal us ka ajab tarah ki lagan lagi hai
kabhi wo dil mein kabhi wo ji mein kabhi wo chashm par ab mein hai
wahi idhar hai wahi idhar hai wahi zaban par wahi nazar mein
jo jagta hun to dhyan mein hai jo so gaya hun to khwab mein hai
nazir sikhe se ilm rasmi bashar ki hoti hain char ankhen
parhe se jis ke hun lakh ankhen wo ilm dil ki kitab mein hai