جو عالمِ ایجاد میں ہے صاحبِ ایجاد
Allama Iqbal (1877–1938)جو عالمِ ایجاد میں ہے صاحبِ ایجاد
ہر دَور میں کرتا ہے طواف اس کا زمانہ
تقلید سے ناکارہ نہ کر اپنی خودی کو
کر اس کی حفاظت کہ یہ گوہر ہے یگانہ
اُس قوم کو تجدید کا پیغام مبارک!
ہے جس کے تصّور میں فقط بزمِ شبانہ
لیکن مجھے ڈر ہے کہ یہ آوازۂ تجدید
مشرق میں ہے تقلیدِ فرنگی کا بہانہ
jo alam-e-ijad mein hai sahab-e-ijad
har daur mein karta hai tawaf us ka zamana
taqlid se nakara na kar apni khudi ko
kar us ki hifazat ke ye gauhar hai yagana
us qaum ko tajdid ka paigham mubarak!
hai jis ke tasawwur mein faqat bazm-e-shabana
lekin mujhe dar hai ke ye awaza-e-tajdid
mashriq mein hai taqlid-e-farangi ka bahana