جس کوں پی کا خیال ہوتا ہے
Shah Hatim (1699–1783)جس کوں پی کا خیال ہوتا ہے
اوس کوں جینا محال ہوتا ہے
خم ابرو کی یاد سیں دل پر
زخم ناخن ہلال ہوتا ہے
چل چمن تیرے فیض قد سے سرو
ہر قدم میں نہال ہوتا ہے
جب میں روتا ہوں کھول کر دل کوں
شہر میں برشگال ہوتا ہے
کون جانے ہے غیر حق تجھ بن
جو کہ حاتمؔ کا حال ہوتا ہے
jis kun pi ka khayal hota hai
os kun jina muhal hota hai
kham-e-abru ki yad sin dil par
zakhm nakhun hilal hota hai
chal chaman tere faiz qad se sarw
har qadam mein nihal hota hai
jab main rota hun khol kar dil kun
shahr mein barshgal hota hai
kaun jane hai ghair haq tujh bin
jo ke hatim ka hal hota hai